Chaman 1: Padaai

[Published in Chaman, October 2016 issue in Telugu script]

Bus! Ab rona-dhona bandh!
Musalmanon ka bhot bura haal hai, isse battar nai hosakta. Koi hamare vaste kuch nai karrein aur hum bi apne vaste kuch nai karrein. Government hamare moo mein niwale daali toich hum khainge, nai to bhukke rhainge? Hum logan aise hai kya? Sachar Committee report ke lehaaz se musalmana, dalit logon se bi pichhe hai: Gharib hain, anpad hain, sharab aur nashe aur gutke ki zad mein hain, kharazon ke nichche dabewe hain aur hamari baat koi nai utthara, kyon ke hum bilkul ahem nai hain. Hum kyon itte pichhe hai? Isse bahar nikalne ka koi rasta hai kya? Agar hai, to kya rasta hai? Us raste pe chalne ke liye agar kuch takleef utthana pada to hum tayyar hai kya, apne bachchon ke aage ki zindagion ke liye? Apne qaum ke liye, apne khud ke liye?

Mere lehaz se, musalmanon ku chaar cheezon mein taraqqi kare toich kuch zindagi achhi hoingi aur kuch izzat bi milingi:
PADAAI
PAISA
POLITICS aur
PRESS (akhbaar, TV mein unki baat sahi tareeqe se rakhna)

Sachchi baat to ye hai, ke hum apne aap ku, 70 baras se lagataar pichhe kheench rein. Na khud aage badte, na apne aas paas kisi ku aage badne dete. Apne bachchon ku tak, pichhe kheench rein. Aaj main thoda PADAAI ke bare mein baat karungi.

Hamare ghareeb or pichhre hone ki sirf ekich wajhe hai, aur vo hai Taleem se door hona. Apne bachchon ku hum school bhejne ke bajae madarse ku, nai to urdu medium govt school ku bhejte. Madarse se ya urdu medium se padh ke nikle to kya naukri milti aur konsa government ka idare ka exam desakte? Logon se mangke khana padta. Apne mazhab ki taleem sob mazhabon wale apne bachchon ku dete magar duniya mein engineer, doctor, lawyer ya police aur fauji banane ke liye bi padaate. Hum bi aisaich kar sakte. Jo logan bachchon ku school mein bi dalte, aadi padaai mein se nikaal ke beton ku mechanic banadete aur betiyon ku 14 -15 saal ki umar mein ‘uthadete’ (shaadi kardete), jaisa ke beti koi laash hai, jis ku ghar me rakhe to sadh jaati!

Ab hum ku ye tareeqa aur ye soch badalna hai – agar sukh se zindagi guzaarna hai to. Beta ho ya beti, achhe English medium school mein padana. RTE khanoon ke tahet, har private school mein 25% seats, nursery class ke, mohalle ke ghareeb bachchon ku dena hai. Ye free hai. Govt paisa school ku dengi. To chaliye ab ke baras jiske bachche sade 3 saal ke hain, unka admission kisi achhe school mein kariye. Aur jin ke bachhe thode bade hain, unku English medium mein daliye. Ab govt school bi English medium hain. Dusre private schools bi hain jinki fees 200 ya 150 rupiye maheene ki hai. Chahe bhukke bi sona pada to bi school se bachhon ku nai nikalna, aur na koi bachche ki zid se dar ke ghar mein bithana. Fail hue to phirse exam likhana. Zaroorat padi to saqti bi karna.

Main bhot se logon se mili jo bolte ‘Hamare bachche padke doctor, engineer bante kya?’ Kyon nai bante? Agar ek auto driver ki beti Pilot bansakti aur beta collector bansakta, to aap ke bachche kyun nai? Qwaab bade dekhna. Bete ku driver ya watchman ya mauz bechne wala ya auto chalane wala banane ki koshish bilkul nai karna. Aur beti ku ‘uthane’ ki baat se bilkul inkaar karna. Betiyan to beton se bi achha padrain. Koi bachchon ki padai band nai karna. Aur unku bi yeich qwab dikhana ke ‘tum bade hoke doctor, engineer, lawyer ya IAS officer baninge. Sar pe pakka makaan aur khane pine ki koi kami nai rahingi. Tum bi car mein phiringe – driver ban ke nai, balke car ke malik banke’.

Agar beti padlikh ke badi naukri karingi to usse shaadi karne wala bi padalikha aur badi naukri wala honga aur dono ki kamai se jaldi taraqqi hosakti. Beti aur biwi ku banglon mein bartan dhone pe bhejne tayyar hai magar officer banane ku kyun nai? Aaj bi sob aurtan gharon mein kaam karke kandaan chalarein. Phir badi naukri aur zayada paise kamane ke liye itti roktok kyun hai? ‘Kharaab hojate’ bolke ek bahana hai. Kharab to bete hogae. Peena, gutka, nasha mardon ku tikke naukri karne nai deta. Do din kamaa ke chaar di ghar mein baithraen. Mardon ki koi zimmedari nai hai kya?

Jinke bete betiyan SSC ke age nai pade to unku ITI mein daalke, nurse, electrician, electronics repair, carpenter…ki training dilana. Govt is ku bhot badawa deri. Hum ku faida uthana hai. Scholarship, bursari, padai ke loan, minority finance commission ke loan musalman bachchon ku derein. Magar bhot kum musalman bachche padrein. Hum ku paisa aur izzat dono milsakti. Sochiye ke aap ku kaisa dikhinga jab aapke baare mein logan bollinge, ‘Dekho, wo lady
doctor ke maa baap hain’, ya ‘In ka beta collector hai. In ku kya kami hai? Bhot takleef utha ke bachchon ku padaae, magar pichche nai hatey. Ab araam karrein’.

Aap sab is baat pe ghaur kariye aur jaldi se apne qwaban poore karne ke liye kamar kaske tayyar hojaiye. Agle dus saal hawa ke jaisa udhjainge. Zayada bi hue to koi baat nai, uske baad to sukh aur izzat dono hain.
Huma Kidwai.

1 thought on “Chaman 1: Padaai”

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *